Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha


Sunday, July 20, 2014

AANKIK MULYA NIKAALNE KI VIDHI

Assalam oalaikum,

Kisi bhi vastu, naam athwa Quranic aayat ka aankik mulya nikaalne ke liye yeh aavashyak hai ke aap Huruf-E-Tehajji se parichit hon. Prayah chandra huruf-e-tehajji ka hi aankik mulya nikaala jaata hai evan is hi ka upyog kiya jata hai.
Nimnalikhit sanchitra dwaara is baat ko spasht kar deta hun:

Yeh abjad Chandra ke hain evan niche un ka mulya likha hai




Ab main paathakon ko bataunga ke kisi ke naam ka aankika mulya kaise pata lagaaya jaata hai huruf-e-tehajji dwaara. Udhaahran swaroop Ahmad naam ka aankik mulya yadi nikaalna ho to nimnalikhit vidhi ka anukaran karein:
·         Alif=1
·         Badi he=8
·         Meem=40
·         Daal=4
Kul sankhya hui 53, atah Ahmad ke naam ka aankik mulya hua 53.
Ab main aap logon ko kisi Ayyat ka aankik mulya nikaalne ki vidhi samjhaunga:
بسم الله الرحمن الرحيم
Udhaahran swaroop, Bismillaah hir-Rahman nir-Raheem le jiye:
·         Bay=2
·         Seen=60
·         Meem=40
·         Alif=1
·         Laam=30
·         Laam=30
·         Choti hay=5
·         Alif=1
·         Laam=30
·         Re=200
·         Badi hay=8
·         Meem=40
·         Noon=50
·         Alif=1
·         Laam=30
·         Ray=200
·         Badi hay=8
·         Yay=10
·         Meem=40
Kul sankhya hui 786, atah, is Aayat ka aankika mulya hai 786. Is hi vidhi se samast Surah ka aankik mulya nikaala jaa sakta hai.




Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com





4 comments:

shafi said...

Assalamualaykum brother mera naam shafi hai mujay yeh jaan na
hai k meri RAShi konsi hai ? Example meri Rashi libra hai aur sitara
Venus hai to dusray sitaro k kharab asar say bachnay k liye konsa amal
karna chahiye aur konsa Naqash pehana chiye ta k dusray sitaro k
kharab asar say bach sakay aur allah pak k hukam say kaamyabi milay
pls aap bataye aap ki maherbani

Ali said...

Mera naam Ali hai
kiya aap bata sakte ho k mujh par koi ilm ya taweez to nh kiya huwa?

kiran said...

Bhai g .jawab dana .Me soudia se bat kr rhi hu kia ye jado khatm krny k lye ye amal kr skty hai is se bury khiyalaat ki bimari dor ho jay gi muje bht bury waswasy aty hai .plzzzzzzzzzzzzzzz muje jawab dana.ap apna contact numbr dy skty hai kia bhai????

emran said...

Assalam Alaikum
Janab mera taluk ek village se hai aur wahan pe chand auraten aisi hain Jo jadoo karni hain .unhon ne hamara jina haram kar rakha hai. Aayedin kuch na kuch karti rahtin hain aur ham ilaj kara kara kar tang hai.
Hum aap se yeh Janna chahte hain ke koi aisa Amal hai JIS se unke quwat ko khatam kar Diya jaye ya fir unko pagal kardiya jaye ke dubarah Kisi ko preshan na kar saken. Meharbani kar ke koi solution batlayen.
Aapke jawab ka muntazir rahunga.

Popular Posts